"Photos Mein Pyaar"

P1:

Kya karte ho har pal,

Use photos dekh dekh kar?

P2:
Dhundhti hoon...

P1:
Kya?

P2:
Pyaar.
Uski aankhon mein pyaar dhundhti hoon.
Ke woh sach tha ya nahi,
Aur agar tha...
To kab chhod gaya mujhe chupke se?

Ek waqt tha,
Jab un nigaahon mein sirf main thi,
Ab unme khaali si udaasi hai,
Jaise main kabhi thi hi nahi.

To inhi purani tasveeron mein jeeti hoon,
Jahan ab bhi uski aankhon mein main hoon,
Jahan ab bhi pyaar dikh jata hai,
Chhoti si muskurahat mein chhupa hua.

Woh pyaar, jo ab uski aankhon mein nahi,
Shayad in photos mein kahin reh gaya hai,
Isi liye har pal inhe dekhti hoon...
Kyuki yeh tasveerein jhooth nahi bolti.

Aur ab main har tasveer mein,
Jaanne ki koshish karti hoon —
Ke woh pyaar kab gaya...
Aur kahan gaya?

Kya kisi aur ki aankhon mein bas gaya?
Ya waqt ki dhool mein kahin kho gaya?

Har pal, har frame, har muskaan,
Ek raaz sa ban gaya hai.
Main tasveeron se sawal karti hoon,
Aur jawabon mein sirf khamoshi milti hai...

Phir bhi, dekh leti hoon roz,
Shayad kisi roz…
Woh pyaar wapas tasveeron se zinda ho jaaye.

Comments

Popular Posts